Kuch Rang Urhaney Parhtey Hain,

Kuch Rang Urhaney Parhtey Hain,

Kuch Khuwab Sajaney Parhtey Hain,

Jab Dh0p Musalsal Sar Par H0 T0 Saaye Bananey Parhtey Hain,

Gham'Khuwar Kisi K0 Banayen Kiya Is Main Bhi Khasara Apna Hai,



J0 Saari Umar Chhupaye Hain W0 Raaz Bataney Parhtey Hain,

Is Raah Se Tum Guzra Na Kar0 K Hum Ranj-Guzeeda L0gon K0 Kuch Khoon Bahana Parhta Hai. Kuch Ph00l Khilaaney Parhtey Hain,



Ye Wasal Nahi Itna Aasaan Ek Umar Andhairey Rastey Par,

Taar0'n K0 Sajaana Parhta Hai, Mehtaab Ughaaney Parhtey Hain,



Hum Hijar Mitaana Chaahtey Hain,

Hum Tum Tak Aana Chaahtey Hain,

Par Tum Tak Kaisey Aaye'n Kah0 Rastey Main Zamaaney Parhtey Hain,



Us Husan Ka Haal Sunaayen Kya?

W0 Jab Bhi Kahee'n Se Guzarta Hai,

Kiya Hadya-E-Dil!! Kiya Naqdi-E-Jaa'n Baazaar Lagaaney Parhtey Hain,



Darvaish Ye Aakhir Kam T0 Nahi Hum Dasht Main Rehney Walon K0,

Veraney Chupaye Seney Main Ab Shehar Basaney Parhtey Hain.

Post a Comment

0 Comments