Tu Jis Mein Nahi, Aisi To Koi TasveeR Nahi,

Tu Jis Mein Nahi, Aisi To Koi TasveeR Nahi,

Hairaan Hoon Mein, Tu Phir Bhi Meri TaqdeeR Nahi.



Ik Baar To Chal Ay Baad-E-SaBa MaqtaL ki Taraf,

MaqtaL Mein koi NaaLa-E-DiL-E-Dilgeer Nahi.



Mutrib ko Azaan-E-SaHaR ki kis Ne Mohlat Di,

Hai Kon Yahaan Aisa Jo Abhi Shabb-GeeR Nahi.



Bin Pochhey Humaare DiL Mein Kiyon Kar Beth Gaye,

Ye DiL Jo kisi k Baap ki Bhi JaGeeR Nahi.



Hum ko To Hazaaron Baar, Hazaaron Khuwaab Dikhaye,

Ay RABB-E-JaHaan! Kiya Inn Ki Koi Tabeer Nahi.



Samaan-E-AzaL Sab LooT Liya RahGeeron Ne,

Ab Fard-E-AmaL Mein Ik Bhi To TaQseer Nahi.



Ay SaaQi ! Yahaan Peene De Humein Aur Shor Na Kar,

Iss Jagah Se Behtar Aur Kaheen TouQeeR Nahi.



Ay Jaan-E-ALI! Iss Dil Mein Basso To Behtar Hai,

Lau-Laaka-Lama" Juz Aur Koi Tanveer Nahi.

Post a Comment

0 Comments