Gaye baras ki eid

Gaye baras ki eid ka din kiya acha tha,
Chaand ko dekh k us ka chehra dekha tha.

Fazaa mein cactus k lehjay ki nermahat thi.
Mausam apne rang mein faiz ka misraah tha.

Dua k be-awaz, ulohi lamhon mein.
Wo lamhaa bhi kitna dil-kash lamha tha.

Haath utha ker jab Aankhon hi aankhon mein.
Us ne mujh ko apne Rab se maanga tha.

Phir mere chehrey ko haathon mein le ker.
Kitne piyaar se mera maatha chooma tha.

Hawaa ! kuch aaj ki shab ka ahwaal suna.
Kiya woh apni chat per aaj akela tha?

Ya koi mere jeisi saath thi, aur uss ne.
Chand ko dekh k us ka chehra dekhaa tha.?

Post a Comment

0 Comments