Jaanum teray baghair

Jaanum teray baghair kab
zinda raha hoon main,

Her peher her gharri yahan
merta raha hoon main,

Dukh zindagi ko ghayal
kertay rehay meri,

Ik kerb-e-musalsal se
guzerta raha hoon main,

Jo log apni jan se aziz thhay
mujhay,

Un ke wafa ko akser tarasta
raha hoon main,

Bikhray jalay muqaam milay
safer-e-hayat main,

Daaman ko apnay raakh se
bharta raha hoon main,

Teri yaad ne bhi likh dee
muqader main baykali,

Qismat ke iss khail pe
hunsta raha hoon main,

Hain aashnaa yahan meray
dardon ke qaaflay,

Bus inn ke dermiyan he
chalta raha hoon main,

Rakhta hon her qadam main
ab phoonk phoonk ker,

Apnay he saaye se bhi darta
raha hoon main,

Aaj hoon main us jagah
jahan manzil nahi Shaukat,

Raston se bewaja he larrta
raha hoon main..

Post a Comment

0 Comments