Sangay mar-mar se tarasha hua ye shukh badan

Sangay mar-mar se tarasha hua ye shukh badan

Itna dil kash hai ke apnanay ko ji chahta hai



surkh honton mein terkti hai ye rangeen sharaab

jis pe kar behak janay ko ji chahta hai



naram seenay mein daraktay hain woh nazuk tufaan

jin ki lahroon mein utar janay ko ji chahta hai



Tum se kya rishta hai, kab se hai, yeh maloom nahin,

Lekin is hussn pe mar janey ko jee chahta hai,



Rakh ley kal ke liye yeh doosri pazebdil,

Kal is bazzm mein phir aney ko jee chahta hai,



Be-khabar soye hain woh loot ke neendain meri,

Jazba-e-dil pe tarss khaney ko jee chahta hai,



Kab se khamosh ho aye jane jahan kuch to bolo,

Kya abhi bhi sitam aur dhaney ko jee chahta hai,



Chorr kar tum ko kahan chain miley ga hum ko,

Yahin jeeney yahin mar janey ko jee chahta hai,



Apne hathon se sanwara hai tumhein qudrat ne,

Dekh ker dekhte reh jane ko jee chahta hai,

Post a Comment

0 Comments