paasbaani pe andhere ko to ghar par rakha
aur chiraagho ko teri raah guzar par rakha
reh gaya haath sada taigh o sapar par rakha
hum ne har raat ka anjaam sahar par rakha
haath uthaay rahe har lamha dua ki khaatir
aur alfaaz ko tanseekh e asar par rakha
be wafaai meri fitrat ke anaasir mai hui
teri be mehri ko asbaab e dagar par rakha
itna aasaan na thha warna akele chalna
tujh se milte rahe aur dhiyaan safar par rakha
uski khushboo ka he faizaan hain ashaar apne
naam jiska hum ne gul e tar par rakha
paani dekha na zamee dekhi na mausam dekha
be samar hone ka ilzaam shajar par rakha
0 Comments