chaand tanha hai aasmaan tanha.

chaand tanha hai aasmaan tanha.

dil mila hai kahaan kahaan tanha.

bujh gai aas chup gaya taara.

thar tharaata raha dhuaan tanha.

zindagi kiya isi ko kehte hain.

jisam tanha hai aur jaan tanha.

humsafar koi gar mile bhi kahin donon chalte rahe tanha tanha.

jalti bujhti si roshni k pare.

simta simta sa ek makaan tanha.

raah dekha karega sadiyon tak.

chor jayenge ye jahaan tanha.

Post a Comment

0 Comments