ae maut.! unhen bhulaaye zamaane guzar gaye.
aa jaa ki zahar khaaye zamaane guzar gaye.
O jaane vaale aa ki tere intazaar men.
raste ko ghar banaaye zamaane guzar gaye.
Gham hai na ab Khushi hai na ummiid hai na aas.
sab se najaat paaye zamaane guzar gaye.
kyaa laayaq-e-sitam bhi nahin ab main doston.
pathar bhi ghar men aaye zamaane guzar gaye.
jaane bahaar phool nahi aadmi hun main.
aa jaa k muskuraaye zamaane guzar gaye.
kya kya tavaq'qoat thi Aahon se ai 'Khumar'
ye tir bhi chalaaye zamaane guzar gaye.
0 Comments