Sahar Goraiz Thay Shab Say Kalaam Rakhtay The,


Sahar Goraiz Thay Shab Say Kalaam Rakhtay The, 
Sawaira Baant'tay Thay, Ghar Mein Shaam Rakhtay Thay 

Kharay Hain Baandiyoon Ki Siff Mein Bhi Sifaarish Say 
Humaaray Jaisay Jo So So Ghulaam Rakhtay The 

Kisi Ney Dil Lagi Jaana Magar Hamara Dil 
Khuda Ka Ghar Tha Musaafir Qiyaam Rakhtay Thay 

Ajab Nahin Key Unhain Dosti Na Raas Aayi 
Jo Rukh Hawa Sa Badalnay Main Naam Rakhtay Thay 

Woh Rut Bhi Bhool Gaye Phir Bhi Mohhtaram "Hain" 
Mujhay Kahey Mera Dil Main Bohat Ehtaraam Rakhtay "Thay" 

Diye Tou Kuch Bhi Nahin "Qais" Us Kay Raston Par 
Charaaghay Qalb Woh Nazar Subha Woh Shaam Rakhtay Thay.

Post a Comment

0 Comments