Kabhi jo chair gaye yaad-e-raftgaa'n Mohsin..


Kabhi jo chair gaye yaad-e-raftgaa'n Mohsin..
Bikher gaye hain nighahien kahan kahan Mohsin..

Hawa ne raakh urdaye to dil ko yaad aya..
Ke jal bhujien mere khawab ki bastiyan Mohsin..

Kuch aisay ghar bhi mile jin mein ghongtoon ke aewaz..
Hoi hain dafn dupatoon mein larkiyan Mohsin..

Khandar hai ahd-e-ghasta, na cho na chair ise..
Khulien to band na hoon iski khirkiyan Mohsin..

Bhujha hai kon sitara ke apni ankh ke sath..
Hoye hain saray manzir dhuwan dhuwan Mohsin..

Nahi ke us ne ghanwaye hain maah-o-saal apne..
Tamam umer katti yoon bhi raigaa'n Mohsin..

Mila to aur bhi taqseem ker gaya mujh ko..
Smaitna thien jise meri kirchiyan Mohsin..

Kahien se us ne bhi torda hai, khud se rabt-e-wafa..
Kahien se bhool gaya mein dastaa'n Mohsin..

Post a Comment

0 Comments