wo bhi kya din thay k pal mein kr diya krtay thay hum
umer bhar ki chahton ko hr aik harjaai k naam
wo bhi kiya mosam thay jin ki nikhaton k zaiqay
likh diya krtay thay khaal-o-khad ki ra'anaai k naam
wo bhi kiya subhain thein jin ki muskurahat ka fasoon
waqf tha ehl-e-wafa ki bazm aaraai k naam
wo bhi kiya shamain thein jin ki shohratain mansoob thein
besabab khhultay huay baalon ki ruswaai k naam
ab k wo rut hy k hr tazaa qayamat ka azaab
apnay dil mein jaagtay zakhmon ki gehraai k naam
ab k apnay aansuon k sub shiksta aainay
kuchh zmanay k liye kuchh apni tnhaai k naam...
0 Comments