Pooch ankhon se Kiya kitna intezar tera


Pooch ankhon se Kiya kitna intezar tera, 
Ban k dharkan dil mein basa piyar tera, 

Apni palkon ki Chaaon mein saja le mujh ko, 
Maar dale na Qasam se ye khumar tera, 

Mera mehboob khila hai aaj pholon ki tarah, 
Karon shukriya main kese aye bahar tera, 

Rukh_e_Mehtab se zara zulf hata kar to dekho, 
Thehra hai aaj waqt bhi karne deedar tera, 

Yunhi saya ban k zindagi bhar Sang chalna, 
Mujhe sari duniya Se ziyada hai Aitbaar tera.

Post a Comment

0 Comments