Charaagh jalte rahen ya hawa thehar jaye.

Charaagh jalte rahen ya hawa thehar jaye.
Teri nigah pe har silsila thehar jaye.

Kisi k wasl ka aaya nahi abhi mosam.
Koi bahaar se keh do zara thehar jaye.

Fanaa ka kheil hai hasti tu kaise mumkin hai.
Zawal-e-umr ka ye silsila thehar jaye.

Kisi ka sath mile aur is tarah Yaaro.
K waqt chalta rahe raasta thehar jaye.

Post a Comment

0 Comments