Dard itne Mile ab Dard na Raha.

Dard itne Mile ab Dard na Raha.

Bari bedardi se Ro diye k kyun Dard na Raha.

Dil e wiraan men Mere bas Dard ka Basera Tha.

Magar Dard bhi ye keh gaya k Tumhain ab Dard na Raha.

Bohat karta tha zamana Tarifain Meri Aankhon ki.

Magar in Dard bhari Aankhon men ab Dard na Raha.

Aahein Siskiyan bhi sath chor gai Mera.

Aajib zindegani hoi k zindagi men ab Dard na Raha.

Udas raaton men hal e dard sunate the Dard ko Magar.

Shab e Dard bhi ye keh gai k "Neelum" ko ab Dard na Raha.



"""""""""""'''"""""""""'""""""""""""'""
For More Urdu Poetry,
Like My Facebook Page.

https://facebook.com/mehroz717

Post a Comment

0 Comments