Jo chala gaya mujh se Door main kabhi na usko bhula saki,

Jo chala gaya mujh se Door
main kabhi na usko bhula saki,,!!

wohi duriyaan wohi faslay
main kabhi na unko mita saki,,!

kiya usay bhi mujh say payar tha
ya'n shayad use shor tha,,!!
wo koi ajeeb sawal tha
jo mere samjh main na a saka,,!!

meri zindagi ka sakoon tha wo
mere dil ka aik junoon tha wo,,!!
yahi sochti thi main rat bhar
yahi baat na main us ko bata saki,,!!

jo kabhi milay ga kahin to
karoon gi main us se shikaytien,,!!
wo mila to main lab na hila saki
main kabhi na usko bhula saki ,,,!!!!!!

Post a Comment

0 Comments