Kehne ko us se mera koi waasta nahin

Kehne ko us se mera koi waasta nahin
khuda magar woh shakhs mujhay bhoolta
nahin...!

darti hoon aankh kholoon to manzar badal naa
jaye
main jaag to rahi hoon magar jaagti nahin...!!

berukhi se uski usay bewafa naa jaan
aadat ki baat or hai dil ka bura nahin...!!!

tanha udaas chaand ko samjho naa bekhabar
har baat sun raha hai magar bolta nahin...!!!!

khamosh ratjagoun ka dhuwaan tha chahaar soo
nikla kab aaftaab mujhay to pata nahin...!!!!!

e-khuda !! woh aankhain bahut gehri to hain
magar
par shayad un main koi bhi aks meray naam ka
nahin!!!






"""""""""""'''"""""""""'""""""""""""'""
For More Urdu Poetry,
Like My Facebook Page.

https://facebook.com/mehroz717

Post a Comment

0 Comments