Khily hain Phool Khushbu k,
Bikhar janay ka Mosam hai,
Chalay Aao k Fasl-e-Gul,
Utar janay ka Mosam hai,
Wafa k Morr pe jab B Tera Naqsh-e-Qadam
Dekha,
Teri Raahon se Poocha hai,
Kidhar janay ka Mosam hai,
Meri Aawargi jab B
Sitaron tak Pohnchti hai,
Mein aksar Bhool jata hon,
K Ghar janay ka Mosam hai,
Meray Ehsas main Gham ki Sulagti Dhoop hai
Lekin,
Teri Palkon ki Chhaon main Thehr janay ka
Mosam hai,
Kai Din se Meray Sapnay B Gehri Neend Soye
hain,
Yehi Mehsoos hota hai,
K Mar janay ka Mosam hai,
Mohabat B Taaluq hai, Taaluq pe Bhrosa hai,
Andheri Raat hai Saaye se Dar janay ka
Mosam hai.
"""""""""""'''"""""""""'""""""""""""'""
For More Urdu Poetry,
Like My Facebook Page.
https://facebook.com/mehroz717
0 Comments