Be faiz rafaqat mein samar kis ke liye tha

Be faiz rafaqat mein samar kis ke liye tha
Jab dhoop thi qismat to shajar kis ke liye tha

Pardes mein sona tha to chatt kis liye dali
Bahir hi nikalna tha to ghar kis ke liye tha

Jis khaak se phoota hai usi khaak ki khushbu
Pehchan na paya to hunar kis ke liye tha

Aye maadar e geeti! Teri hairat bhi baja hai
Tere hi na kaam aaya to sar kis ke liye tha

Youn shaam ki dehshat se sar e dasht e irada
Rukna tha,to phir sara safar kis ke liye tha

Post a Comment

0 Comments