Main nafraton k jahan main reh kar,

Main nafraton k jahan main reh kar,
juda rahon ga to kia karon ga,

Ye theek kehtay ho Bewafa hoon,
wafa karon ga to kia karon ga,

Bus aik tu hi to reh gaya hai,
jahan sara to kho chuka hoon,

Tujhe Bhi apni anaa mein aa kar
Khafa karon ga to kia karon ga,

Hazaar sajday to kar chuka hoon
Qaza tumhari Muhabton men,

Main ab dikhaawy ka koi sajda,
adaa karon ga to kia karon ga,

Post a Comment

1 Comments