Nahi tha apna Mizaj aisa, k Zarf kho kr Ana Bachaty,

Nahi tha apna Mizaj aisa,
k Zarf kho kr Ana Bachaty,

Wagarna aisy Jwab dety,k Phir na Paida Sawal Hoty,
.
Hmari Fitrat ko Janta hai, Tabhi To Dushman Ye keh Rha hai,

Hai dushmani mein b zarf aisa, jo dost hoty kamal hoty,
.
Jo Aa k tum Haal Puch Lety,
To itni Lambi na Umr Lagti,
.
K Wasl ki ik Ghari Me Sary,
Guzar Gaye Mah-o-sal hoty,
.
Usy Mubarik Maqam Uncha, Sahi Haqeqat Humein Pata hai,
.
Banaty Rishton ki Hm Bhi Seerrhi, To Aasman ki Misäl Hoty.

Post a Comment

0 Comments