Husn-e-Yousuf ke khareedar kahan se laoon,
Main yahan misr ka bazar kahan se laoon,
Zakhm do char ager hoon to chupa ker rakhoon,
Dil mein gunjaish-e-yalghar kahan se laoon,
Yeh to mumkin hai tere jesa maseeha mil jaye,
Apne dil ke jaisa beemar kahan se laoon,
Mujh ko tasleem hain duniya ke taqaazay lekin,
Aik hi dil hai main do char kahan se laoon,
Jhoot ke bhao jahan sach ki zuban bikti hai,
Main wahan sach ka talabgar kahan se laoon,
Main hoon insan to insan hi mujhe samjho tum bhi,
Main farishton ka sa kirdar kahan se laoon....???
0 Comments