Baadshahon Ki Tarha Dil Pay Hukoomat Kar K

Zulf Ko Sandali Jhonka Jo Kabhi Kholey Ga
Jism Tootay Huey Pattay Ki Tarha Dolay
Ga

Baadshahon Ki Tarha Dil Pay Hukoomat
Kar K
Woh Mujhe Taash K Patton Ki Tarha Rolay
Ga

Janbish E Lab Se Bhi Hota Hai Ayaan Sab
Matlab
Woh Meri Baat Tarazoo Mein Magar Tolay
Ga

Kisi Bargad Ki Ghani Shakh Se Dil Ka
Panchi
Meri Tanhai Ko Dekhay Ga Tou Kuch Bolay
Ga

Chaand Poonam Ka Sarakti Hui Nagan Ki
Tarha
Neelgon Zehar Merey Khoon Mein Aa
Gholay Ga

Urr Gaya Soch Ka Panchi Bhi Wahan Se
Nainaan
Koi Sunsaan Baneray Pay Nahi Bolay Ga ..

Post a Comment

0 Comments