Main to har chehray me ab tak wohi chehra dekhon

Dasht o Darya say guzarna ho ghar mein
rehna
Ab to har hal me hay humko safar me
rehna

Dil ko har pal kisi jadu k asar me rehna
Khud say niklay to kisi or k dar me rehna

Sheher e Gham Dekh Teri Aab o Hawa
khushk na ho
Ras ata hay usay Deeda e Tar me rehna

FesLay saray usi k hain hamari Babat
Ikhtyar apna bas itna k khabar me rehna

Koi khatir na madarat na TaQreeb e wisaL
Hum to bas chahtay hain teri nazar me
rehna

Rat bhar chand me dekha karon surat uski
Subha ko or hi soda meray sar me rehna

Main to har chehray me ab tak wohi chehra
dekhon
Usko har roz tamasha e Dagar me rehna

Tootna yon to muQaddar hay magar kuch
Lamhay
PhooL ki tarah Muyassar ho shajar me
rehna

Har muLaQat k bad Ajnbiyat or barhi
Usko Ayeiny hamen Zom e Hunar me rehna

Chand ki akhri Raton me bohat Lazim hay
Aik Mati ka diya Rah Guzar Me rehna

Tayir e Jan k Guzarnay say bara saneha
hay
ShoQ e parwaz ka tootay huway Par mein
Rehna..

Post a Comment

0 Comments