Meri Aankhon Main Tera Naam Na Prh Ly Koi

Meri Aankhon Main Tera Naam Na Prh Ly Koi
Dil sy mery apna hr nqsh mita kr jana

Log pochen gy mujh sy judai ka sab,b
Qis,sa apni bewfai ka suna kr jana

Nazr jhuka leny sy gm ka azala tu na ho ga
Kyun diya zkhm itna gehra bta kr jana

Hr pl wo jis main yaad kya, tujhy hi socha main ny
Lmhy wo mery sbhi mujh ko lota kr jana

Aakhri mulakat hai aaj teri mujh sy
Apni aankhon sy sb ashk baha kr jana...


Poet : Tahira arain

Post a Comment

0 Comments