Mahabbat Kya, Ibaadat Kya K Main Do Kashtiyon Mein Hoon

Sakhun Aamez Khaamoshi Ka Ye Aijaaz Hota Hai
Samundar K Takallum Ko Bhi Jis Par Naaz Hota Hai

Mahabbat Kya, Ibaadat Kya K Main Do Kashtiyon Mein Hoon
Na Kuch Anjaam Hota Hai, Na Kuch
Aaghaaz Hota Hai

Khuda Naraaz Hota Hai, Agar Sajda
Karon Tujh Ko
Khuda Ki Maan Loon To TU Nazar
Andaaz Hota Hai

Mere Ahbaab Ka Ta'ana K Teray Kaan Bajtay Hain
Mujhe Lagta Hai, Sannata Bhi Jaisay Saaz Hota Hai

Sar-e-Rah Youn Paraayi Pot'Li Khola Nahi Kartay
Bharam Ki Band Gutharri Mein Kisi Ka Raaz Hota Hai

Jisse Sayyad Say Barrh Kar Shikam Ki Fikr Khaati Ho
Wo Daana Chorr Kar Kab Maa'eil-e-
Parwaaz Hota Hai

Hamaari Maslhat Koshi Hamein Barbaad Kar De Gi
Bhala Bethay Bethaye Bhi Koi Aijaaz Hota Hai?

Main Izzat Baig Say Ruswaai Ka Tamgha Urra Laaya
Shuru-e-Ishq Mein Ye Bhi Barra Aizaaz Hota Hai

Poet: Rana Saeed Doshi

Post a Comment

0 Comments