Ghar Hath Milatay Ho, Churana Nahi Acha
Har Aik Se Phir Hath Milana Nahi Acha
Ho Jaye Gi Ta'amer Koi Aur Bi Lekin
Mazboot Imarat Ko Girana Nahi Acha
Har Chand Kyi Naqsh Nahi Bhaate Hain Dil Ko
Har Chand Koi Naqsh Mitana Nahi Acha
Har Shakhs Pey Itna Bhi Bhrosa Nahi Karte
Har Aik Ko Yun Raaz Btana Nahi Acha
Ghar Tum Ko Zarorat Ho Tu Ye Jaan Bi De Dain
Mehfil Se Ghrebon Ko Uthana Nahi Acha
Ye Baat Alag Hai Ke Buray Hain Tu Hami Hain
Kehte Hai Behr-e Toor Zamana Nahi Acha
Amir Jo Kaman Main Ne Uthai Tu Wo Bole
Ham Jante Hain Tera Nishana Nahi Acha
0 Comments