Kiyon Abar Se Jalta Hai K Sehra To Nahi Wo,

Kiyon Abar Se Jalta Hai K Sehra To Nahi Wo,
Piyaasa Bhi Kabhi Hoga K Dariya To Nahi Wo,

Aawaz Bhi Dena K Wo Shaayad Palat Aaye,
Mohtaat Bhi Rehna K Shanaasa To Nahi Wo,

Har Ek Se Shanasaai Ka Ilzaam Bhi Dena,
Phir Sochte Rehna Bhi K aisa To Nahi Wo,

Utrey Hain Un Aankho'n Mein To Ab Tak Nahi Loutay,
Kuch Log Samjhte Hain K Gehra To Nahi Wo,

Nikli Hon Ussey Torrne Khud Apni Zido'n Se,
Haalan k Samjhti Hoon K Sheesha To Nahi Wo,

Kiya Ussey Chupaaon K Nahi Ghair Bhi Itna,
Kiya Ussey Bataon K Mera Apna To Nahi Wo,

Bhoole Se Hi Dekhe Kabhi Rah Mein Mujh Ko,
Aur Khud Se Hi Keh De "AZRA" To Nahi Wo,

Post a Comment

0 Comments