Suno ay Mom ki guriya

Suno ay Mom ki guriya
Ab is Daur kay ander
Koi Majnu nahi banta
Koi Ranjha nahi hota
Qadam do, chaar chalne se
Safar Saanjha nahi hota

To in bekar sochon pe
Suno! Rone ka Dar kaisa?

Jisay paya nahi tumne
Usay khone ka dar kaisa...

Post a Comment

0 Comments