Urr jayen gey tasveer k rangon ki tarha hain,

Urr jayen gey tasveer k rangon ki tarha hain,

Hum waqt ki tehni pe parindon ki tarha hain,

tum sahil pe khilay phoolon ki tarha ho,

Hum rait pe Likhay huye harfon ki tarha hain,

tum Aaj ß ainda zamano ki jhalak ho

Hum Aaj ß guzray huye Lamhon ki tarha hain,

tanhai k lamhon main Ayen gey tere kaam,

Ashaar mere sardi main shaalon ki tarah hain,

Ik umr tarasty hain kisi ek khushi ko

Hum log b banjar si zameeno ki tarha hain

Dunya k liye kuch b sahi tere liye hum,

Mukhlis kisi Maa ki duaon ki tarha hain,

tareekh ki Nazron main hum ek umer se Ghalib,

School se bhaagay hue bachon ki tarha hain...!!

Post a Comment

0 Comments