Tum hi to zindagi ho Pyar ho Dunia hamari ho,

Nigahain Rasta dekain "TUMHARA" Lout aao na,
Tmhary bin nahi hota guzara lout aao na,

Bichar k yar "TUJH" sy zindagi pal pal tarapti hy,
K tm bin ab nahi "JEENA" gawara lout aao na,

Mujy darr hy k in tanhaiyun mai toot jaon na,
Hy bas teri Muhabbat ka sahara lout aao na,

Tum hi to zindagi ho Pyar ho Dunia hamari ho,
Siwa tery nai koi hamara lout aao na,

Meri taqdeer tu hay bas tumhary sath wabasta,
Kahein bujh jay na Qismat ka diya lout aao na..

Post a Comment

0 Comments