Apne maazi k taswwur se hiraasaa'n hun main,

Apne maazi k taswwur se hiraasaa'n hun main,
Apne guzre hue ayaam se nafrat hai mujhe,
Apni bekar tamannao pe sharminda hun,
Apni be sood umeedo pe nidamat hai mujhe,
Mere maazi ko andhero me daba rehne do,
Mera maazi meri zallat k siwa kuch bhi nhi,
Meri umeedo ka hasil meri kawish ka sila,
Ek benaam aziyat k siwa kuch bhi nhi,
Kitni bekar umeedo ka sahara lekar,
Maine aiwaan sajaye the kisi ki khatir,
Kitni be rabt tamannao k mubhim saaye,
Apne khawabo me basaye the kisi ki khatir,
Mujhse ab meri mohbbat k fasane na kaho,
Mujh ko kehne do k Maine unhe chaha Hi nhi,
Or wo mast nigahen Jo mujhe bhool gyi,
Maine un mast nigaho ko saraha Hi nhi,
Mujh ko kehne do k main aaj bhi ji skta hun,
Ishq nakaam sahi, zindagi nakaam nhi,
Un ko apnane ki khawahish unhe paane ki talab,
Shauq bekar sahi, sayi-e-Ghamanjaam nhi,
Whi gesu, whi nazre,whi aariz,whi jism,
Main Jo chahun to mujhe or bhi mil skte hein,
Wo kanwal jinko kbhi unke liye khilna tha,
Unki nazro se bht dur b khil skte hein.

Post a Comment

0 Comments