Ajeeb shakhs tha hr ek se pyar mangta tha
Jahan koi dard na ho aisa yaar mangta tha
Jo mangta tha wo dena meri hesiat na thi
Wo meri rooh ka mujh se qarar mangta tha
Use gharz thi na pholon se na baharon se zara
Wo fasl e ranj me fasl e bahar mangta tha
Usay talab thi koi toot kar use chahe
Wo haath jorh k ulfat ka izhaar mangta tha
Mere khulos pe shayed use shak tha
Wafa ki raah me wo Eitbaar mangta ThA
0 Comments