Basaa Huwa Tha Jo Seeney Mein Aarzoo Ki Tarah
Ragon Mein Goonj Raha Hai Wo Ab Lahoo Ki Tarah
Main Uske Dil Mein Chupi Khowahishain Bhi Jaan Gaya
Khula Wo Mujh Se Girebaan E BeRaffoo Ki Tarah
Koi Nazar Bhi Uthaye Us Pe Dil Dharak Jaaye
Main Usey Piyaar Karoon Apni Aabroo Ki Tarah
Bohat Dinon Mein Jo Dekha Usey Tou Kiya Kahiye
Lagi Hai Us ki Khamoshi Bhi Guftugu Ki Tarah
Mujhe Judaa Na Samajhna Chaman Se Ehl E Chaman
Main Rayegaan Hi Sahi Shaakh E Be Namuu Ki Tarah
Gham e Jahaan Tha Ke Mohsin Ujaar Mausam Tha
Simat Gaya Wo Samandar Bhi Aabjuu Ki Tarah
0 Comments