Udas tehrir par k meri mere sanam muskura na dena
Ye aakhri khat main likh raha hon khyal karna jala na dena
Guzar Rahi hai tumhari kese bichar k ham se Rula k ham ko
Haqiqaton ko zaror likhna ana ki khatir chupa na dena
Koi jo poochy kidhar gaya wo jo teri mehfil ka tha sahara
Jo furqaton ka sabab baney thay kisi bashar ko bata na dena
Main mar Bhi jaon tu muskurana ehsas e gham ki na chot khana
Jo qurb e gham se Nigahen bheegen tu Rukh se aanchal hata na dena
Laho se tehrir kar raha hai apni saari kahani ye
Jo phaar B do tu pas Rakhna Hawa me tukrey ura na dena
0 Comments