Aaya tha Ghar sanwarney Ehsaan kar gaya.

Aaya tha Ghar sanwarney Ehsaan kar gaya.
Barbadiyoon ka awar bhi saamaan kar gaya.

ab tak rahi us ki yaad meri zindagi ke saath.
do char pal ki mujh se jo pehchan kar gaya.

Ankhon ne jis k shoq main raatain sajayi thi.
Khwaboon k Anjuman wahi viraan kar gaya.

Jhonka nasim-e-subah ka Aya to tha magar.
Gulshan ki har kalli ko pareeshaan kar gaya.

Post a Comment

0 Comments