Baaraha khwaab me paa kr mujhe pyasa MOHSIN... 

Ab wo toofaa'n hai na wo shor hawaao'n jaisa...
Dil ka aalam hai tere baad khalaao'n jaisa... 

Kaash duniya mere ehsaas ko wapas kr de... 
Khamoshii ka wohi andaaz,, sadaao'n jaisa... 

Paas reh kr bhi hmesha wo bht door mila... 
Uska andaaz-e-taghaful tha Khudaao'n jaisa... 

Kitni shiddat se bahaaro'n ko tha ehsaas-e-ma'aal... 
Phool khil kr bhi laga zard khizaao'n jaisa... 

Kya qayaamat hai k duniya use sardaar kahe... 
Jiska andaaz-e-sukhan bhi ho gadaao'n jaisa... 

Phir teri yaad k mausam ne jagaaye mahshar... 
Phir mere dil me utha shor hawaao'n jaisa... 

Baaraha khwaab me paa kr mujhe pyasa MOHSIN... 
Uski zulfo'n ne kiya raqss ghataao'n jaisa....!!

Post a Comment

0 Comments