Binaa Juurm-o-Khataa khood ko Koi aisi sazaa dena.
Bohut mushkil hay meri jan tumhe yaksar bhula dena.
Mere Mawlaa agar tu ne Doobaara Zindagai bakhshi.
Bass Itni guzaarish hay mujhey Pathar banaa dena.
Main zehni tawar par khood kho zara tayaar karlongi.
Bicharr jane se kuch Pehle hamdam mujhe bata dena.
Tumhaari ye Sharaarat aaj tak hay Naqsh darrkan pe.
Dabbey Pawoon chaley aana Mera Jhoomka Hila dena.
Phir Iss ke baad jiss key Paas Bhi jaawo Ijaazat hay.
Mujhey Aik Baar Apney Naam ki Mehendi Lagaa dena.
Faqat Itnaa kaha tha Naa? mujhe kuch roshni dedo.
Tumhey kiss ne yeh Bolaa tha meri basti Jalaa dena.
Jisey Baarish ke Paani Main Bahaa kar muskurate the.
Mujhe Kaghaz ki wo Kishti Zaraa phir sey Banaa dena.
Umar bhar Phir tumhara Rasta Takhney se behtar hay.
Ke tum Jane se Kuch Pehle Meri Ankhein Bujhaa dena.
Tumhe Iss baar Chitti main Faqat Yeh baat likhni hay.
Ke Saawan Lowt Aaya hay... Mujhe joolah julaa dena.
0 Comments