Har tarha ke jazbaat kaa aelaan hain aankhain

Har tarha ke jazbaat kaa aelaan hain aankhain.
Shabnam kabhi shola kabhi tufan hain aankhain.

Aankhoon sey barra koyi taraazoo nahee hotaa.
Tulta hai bashar jis me wo mizan hain aankhain.

Aankhain hi milaati hain zamaane main diloo ko.
Anjan hain hum tum agar anjaan hain aankhain.

Lab kuch bhi kahey iss se haqeeqat nahi milti.
Insaan ke sach jhoot ki pehchan hain aankhain.

Aankhain naa jhukhain teri kissi ghair key aage.
Dunia main barri cheez meri jaan hain Aankhein.

Post a Comment

0 Comments