Hawa chalii bhi to khud se dara diya hai mujhe... 

Hawa chalii bhi to khud se dara diya hai mujhe...
Charagh-e-shaam-e-safar ne bujha diya hai mujhe...   

Mere badan me padi jb bhi zalzaley ki daraar... 
Mere makaa'n ne bht aasra diya hai mujhe...   

Main dhoop-dhoop musaafat me jiske sath raha...  
Zara si chhanv me usne bhula diya hai mujhe...  

Hisaar-e-deeda-e-tarr me simat gye manzar...  
Thakaawato'n ne ajab hausla diya hai mujhe...  

Nichudte jaate hain sab khwaab apni palko'n se...  
Ye kisne jaagte rehna sikha diya hai mujhe...?? 

Mere dayaar-e-parastish me aasmaa'n tha wo shakhs...  
Usii ne apni nazar se gira diya hai mujhe...   

Ujaad din tha wo MOHSIN,, na zikr-e-shaam-e-firaaq...  
Hansii-khushii yunhi usne rula diya hai mujhe...!!

Post a Comment

0 Comments