Koi bhi lamhaa kabhi lot kar nahin aaya.

Koi bhi lamhaa kabhi lot kar nahin aaya.
Wo shakhs aisa gaya phir nazar nahin aaya.

Wafaa ke dasht mein rastaa nahin milaa koi.
Siwaaye gard-e-safar hum safar nahin aaya.

Palat k aanay lagay shaam ke parinday bhi.
Humara subah ka bhoola magar nahin aaya.

Kissi charagh ne poochhi nahin khabar meri.
Koi bhi phool merey naam par nahin aaya.

Kidar ko jate hain raste ye raaz kaise khule.
Jahan mein koi bhi baar-e-digar nahin aaya.

Yeh kaisi baat kahi shaam key sitaaray ney.
Keh chain dil ko merey raat bhar nahin aaya.

Humain yaqin hay ZAIN nahi wo wada khilaf.
Yeh umar kaisay katay gi, agar nahin aayaa.

Post a Comment

0 Comments