Palat ke aa ke yeh aazaar phir rehey na rehey.

Palat ke aa ke yeh aazaar phir rehey na rehey.
Jo aankh ab hai talabgaar phir rehey na rehey.

Nigaah ker inn hi taareekioon ke mausam mein.
Mujhey yeh roshni darkaar phir rehey na rehey.

Samait lon terey chehre ki taab aankhon mein.
Ye manzar-e-shafaq aasaar phir rehe na rehey.

Kabhi tau pooch kissi An-kahi key baarey mein.
Ke dil mei khawahish-e-izhar phir rehe na rehey.

Ye raah-e-dil abhi taza hai yaar-e-narm qadam.
Guzar ye raah bhi hamwaar phir rehey na rehey.

Post a Comment

0 Comments