phir wohi main hoon wohi dard ka sehra yaro

phir wohi main hoon wohi dard ka sehra yaro
tum se bichra hun to dukh paye hen kia kia yaro

piyas itni he ke aankhon me biaban chamken
dhoop aesi he ke jese koi darya yaro

yad karti hen tumhe aabla pai ki ruten
kis biaban me ho,bolo mere tanha yaro

tum to nazdeek e rag e jan thay,tumhe kia kehta
main ne dushman ko bhi dushman nahi samjha yaro

aasman gard me gum he ke ghata chai he?
kuch batao ke mera sheher he payasa yaro

kia kahun gul he ke shabnam wo ghazal he ke ghazaal
tum ne dekha he nahi us ka sarapa yaro

kon tanha rahe ik umar kisi ki khatir
wo jo mil jae to us se bhi ye kehna yaro

us ke honton ke tabassum me thi khushbu gham ki
ham ne mohsin ko boht der me samjha yaro

Post a Comment

0 Comments