Qabr ki aagosh mein jab thak ke so jati hai maan
Tab kahin jakar zara thoda sukoon pati hai maan
Fikr mein bachoon k kuch aise hi ghul jati hai maan
nawjawan hote huye boodhi nazar aati hai maan
Rooh ke rishtone ki yeh gahraiyan to dekhiye
Chott lagti hai hamaari aur chillaati hai maan
Kab zaroorat ho meri bachche ko itna soch kar
Jaagti rahti hain aankhen aur so jati hain maan
Ghar se jab pardais jaata hai koi noor-e-nazar
Haath mein Quran lekar dar pe ajaati hai maan
Jab pareshani mein ghir jata hoon main pardais mein
Aansoon ko pochhne khawabon mein aa jati hai maan
Chahey hum khushiyon mein maan ko bhool jayen
Jab museebat sar pe aa jaye to yaad aati hai maan
Laut kar safar se jab bhi ghar aataa hoon main.
Dalkar baanhen gale mein sar ko sehlati hai maan
Shukriya ho hi nahi saktaa kabhi uskaa adaa
Marte marte bhi jeene ki dua de jati hai maan
Pyar kahte hain kise aur mamta kyaa cheez hai
Yeh to un bachon se poocho jin ki mar jati hai maan
0 Comments