Tumhari aankhein kehti hein hisaar-e-zaat se niklo.

Tumhari aankhein kehti hein hisaar-e-zaat se niklo.
tamanna meri ban jawo, shab- e -barbaad se niklo.

kinaaraa thaam lo dil ka bhulaa do har gilaa shikwa.
Kabhi sachi hanssi hanss dou puraani yaad se niklo.

Khayaal-e-yaar achaa hai magar jiss ne wafa na ki.
Palat kar phir sadaa naa do, dar-e-faryaad se niklo.

Nahin koyi muhabbat bhi, hijr rut bhi, raqaabat bhi.
yeh dharka sa kya kahiye, weham ki ghaat se niklo.

Nahin tum ko gawaaraa ab hamara qurb to keh do.
Hamaarey karb ki chhorro, tum is gardaab se niklo.

Sar-e-maqtal jo jate ho, na ho darmaandgi kuch bi.
Zamana daikh ke tham jaye, kuch is andaz se niklo.

Post a Comment

0 Comments