Woh to aankhon se bhi karta howa jaadu aaye.

Jab Tasawur mera chupkey se tujhey chu aaye.
Apni har saans se mujh ko teri khushbu aaye.

Mashgala ab hai mera chaand ko taktey rehna,
Raat bhar chain na mujh ko kisi pehlu aaye.

Pyaar main ham nay koi firaaq na chora baaqi,
Jheel mein aks to mera, nazar tu aaye.

Jab bhi gardish-e-doraa'n ne sataaya mujh ko,
Meri jaanib terey phailey huey baazu aaye.

Jab bhi socha keh shab-e-hijar na ho gi roshan,
Mujh ko samjhaney teri yaad kay jugnu aaye.

Kitna hasaas hai meri aas ka sanaata,
Keh jahaan khamoshi bhi baandh ka ghungru aaye.

Mujh se milney sar-e-shaam koi saaya sa,
Terey aangan se chaley aur lab-e-ju aaye.

Us kay lehjey ka asar to hai bari baat Qateel,
Woh to aankhon se bhi karta howa jaadu aaye.

Qateel~ Shifaai

Post a Comment

0 Comments