yeh Alag Baat Meri Bazam Mein Aye To Nahi
Ab Bhi Lagta Hay Jesay Woh Paraye To Nahi
Jo bhi Ata Hay tu mehmaan Ki Tarha Ata Hay
Warna Dill Jese Makanoon Kay kraye To Nahi
Roothna Uski Tabiyat Hay So Roothay Lekin
Sari Dunya Ki Tarha Choar Kay Jaye To Nahi
Loat Janay Ki Koi Baat Ho To Payesh-E-Anaa
Us Nay Jo Phool Giraye Thay Uthaye To Nahi
Baat Ki thi zara Hum ne Tere Anso Nikal Paray
Wo sabhi zakham abhi tujhko Dikhaye To Nahi
Kabhi Khud Say Bhi Nawazay Humein Koocha Koocha
Day Kar Hatho'n Mein Woh Kashkoal Phiraye To Nahi
Umar ji Lein Gay issi Aas Pay Aakhir
Woh Karay Ehad-E-Wafa Hum Say Nibhayye To Nahi
0 Comments