Bhulana ho jinhein un ko bhala kaise bhulatay hain…

Judai dene wale tum se umeed-e wafa kaisi,
Taaluq toot jaye jab,
Mohabbat rooth jaye jab,
To phir rasm-e-dua kaisi, Milan ki ilteja kaisi,

Bhanwar mein dolti kashtii pe saahil ki tamanna kya,
Ukhartay saans houn to zindagi ki arzoo bhi kya,
Ju manzil kho chuki ho uss ki phir se justuju bhi kyun,
Magar dil ne tumhein kis wastay se yaad rakha hai,
Tumhein kyun Dil mein aaj takk aabaad rakha hai,
Abhi tak main ne kyun khud ko buhut barbaad rakha hai,
Hawa k dosh per kyun nagma-e-faryaad rakha hai,

Judaii dene wale Meri qasam tum ko,
Tumhari bewafai, kaj-adaai ki qasam tum ko,
Mujhe itna bata dena,
Wafa ki chahton ki mashalein kaise bhujate hain,
Nishaan kaise mitaate hain,
Bhulana ho jinhein un ko bhala kaise bhulatay hain…

Post a Comment

0 Comments