Kabhi tu ne bhi socha hai k ye pyaas hai to kiyun hai?

Kabhi tu ne bhi socha hai k ye pyaas hai to kiyun hai
Tujhy Paa k bhi mera dil jo udaas hai to kyun hai

Mujhy kyun aziz tarr hai ye dhua'n dhua'n sa mosam
Ye hawa-e-shaam-e-hijraa'n mujhy raas hai tou kyun hai

Tujhy Kho k sochta hun, Meray daman-e-talab mein
Koi Khuwab hai to kyun hai, koi aas hai tou kyun hai

Mein ujjar k bhi hoon tera, tou bicharr k bhi hai mera
Ye yaqeen hai to kyun hai, ye qayaas hai to kyun hai

Mery tan-bar'hana dushman isi gham mein ghul rahy hain
K mery badan pe saalam, ye libaas hai to kyun hai

Kabhi pooch us k dil se k ye khush mizaaj shayar
Apni shayari mein jo udaas hai to kyun hai

Tera kis ne dil bujhaya, Mery 'Aitbaar Sajid'
Ye charagh-e-hijr ab tak, teray paas hai to kyun hai 

Post a Comment

0 Comments