Tum agar pas nahin ho to koye baat nahin

Hijr ki pyas main qatra bhi bohat hota hay
Deed k wastay lamha bhi bohat hota hay

Jin k milnay ki nahin door tak koye ummed
Un k kho janay ka khadsha bhi bohat hota hay

Tum agar pas nahin ho to koye baat nahin
Sirf ehsas ka dhoka bhi bohat hota hay

Jin pe hota hay maan, bohat gehra maan
Wo badal jayen to sadma bhi bohat hota hay

Phir khud hi palat aati hon main rastay say
Warna chalnay ka irada to bohat hota hay

Pas hota hay to chonay nahin daita khud ko
Door ho jaon to shikwa bhi bohat hota hay

Jin k kho janay pe kho jatay hain sab hosh-o-hawas
Un k mil janay ka nasha bhi bohat hota hay

Ab koye aur talab dil main nahin hay
Teri yaad ka saya bhi bohat hota hai.

Post a Comment

0 Comments