Kabhi iss tarah se bhi eid kar,Abhi zid na kar dil-e- bekhabar,

Kabhi iss tarah se bhi eid kar,
Abhi zid na kar dil-e- bekhabar,
Ke pass-e- hujoom sitam– giraan,
Abhi kon tujh se wafaa kare,
Abhi kiss ko fursaten iss qadar,
Ke samaitt kar teri kirchiyaan,
Tere haq main khud se dua kare,

Abhi zid na kare dil-e- bekhabar,
Ke tah-e- ghubaar e gham-e-jahan,
Kahan kho gaye tere chaaragar,
Ke raah-e- hayaat main raayegaan,
Kahan so gaye tere humsafar,

Abhi ghamgusaron ki chott seh,
Abhi kuch na sun abhi kuch na keh,
Abhi zid na kar mere be-nawaa,
Abhi ho sake to sahii mere,
Sabhi khawb raakh main daffan kar,
Abhi ho sake to yeh soch le,
Ke tuluu-e-ashq se paishtar,
Kahin dard hai to huaa kare,
Koi chott hai to khila kare,
Kabhi yun bhi ho ke sar-e-uffaq,
Tere dukh ka chaand dammak uthe,
Koi tees khud se chamak uthe,

Kisi sheher-e-zakhm farosh main,
Koi zakham khud se khareed kar,
Sabhi akss khud se khurachh kabhi,
Kiisi aayine pe na deed kar,
Kabhi yuun bhi jashn-e-turb mana,
Kabhi iss tarah se bhi eid kar…

Post a Comment

0 Comments